koī be-jāñ koī be-ghar nahīñ dekhā jaatā
roz tarrāra-e-mahshar nahīñ dekhā jaatā
chhīn le hairat-e-nazzāra ye bīnā.ī bhī
aañkh hotī hai to manzar nahīñ dekhā jaatā
be-hisī shart hai jiine ke liye ye duniyā
ḳham-e-abru hai ki ḳhanjar nahīñ dekhā jaatā
dekhiye ḳhusravī-o-munsafī-o-dād-rasī
tāj-o-taḳht-o-zar-o-lashkar nahīñ dekhā jaatā
khel bachchoñ kā nahīñ sho.ala-e-sad-ḳhirman hai
gul-e-ḳhūbī hai to chhūkar nahīñ dekhā jaatā
diid kī shab thī ki butlān thā us da.ave kā
raat meñ mehr-e-munavvar nahīñ dekhā jaatā