ḳhāksāroñ se qarīñ rahtā hai
āsmāñ ḳhāk-nashīñ rahtā hai
hai ajab ḳhū-e-faqīrāna bhī
ik jahāñ zer-e-nagīñ rahtā hai
vaj.h duniyā bhī hai fitrat bhī hai
koī ḳhush koī hazīñ rahtā hai
bāġh-e-gul-gasht-e-sabā dil ko banā
naḳhl-e-sarsabz yahīñ rahtā hai
ghar kā sāmāñ nahīñ vīrāne meñ
shahr meñ ḳhauf-e-makīñ rahtā hai
āñkhoñ āñkhoñ meñ to kaT jaatī hai raat
dard farḳhanda-jabīñ rahtā hai
kaj-adā aisā nahīñ hai vo bhī
bojh ik dil pe kahīñ rahtā hai
go koī vaj.h-e-ta.alluq bhī nahīñ
maiñ kahīñ dhyān kahīñ rahtā hai