malāl-e-ġhuncha-e-tar jā.egā kabhī na kabhī
vo ḳhaak uḌā ke guzar jā.egā kabhī na kabhī
maiñ lāla-e-sar-e-sahrā makāñ nahīñ rakhtā
ki dasht hai mire ghar jā.egā kabhī na kabhī
barahna shāḳh havā zard be-zamīn shajar
parinda sū-e-safar jā.egā kabhī na kabhī
kahīñ bhī tā.ir-e-āvāra ho magar tai hai
jidhar kamāñ hai udhar jā.egā kabhī na kabhī
kisī ke haath se TuuTe na shīsha-e-sad-rañg
ye reza reza bikhar jā.egā kabhī na kabhī
guzishtanī hai ye sab kuchh jo hone vaalā hai
vo hādsa bhī guzar jā.egā kabhī na kabhī
vo nau-bahār bhī aafat hai dasta-e-sumbul
za-farq tā-ba-kamar jā.egā kabhī na kabhī
ye ishq hai ki ḳhumār-e-talab hai kyā ma.alūm
ḳhumār hai to utar jā.egā kabhī na kabhī