Syed Amin Ashraf

dalil-e-kun hai magar dard-e-la-dawa nikli

Syed Amin Ashraf

1931
dalīl-e-kun hai magar dard-e-lā-davā niklī
ye kā.enāt ajab hairat-āzmā niklī
ye maanā sach hai koī ġham sadā nahīñ rahtā
ḳhushī milī thī to vo bhī gurez-pā niklī
havā kī tarah se uḌ jā.ūñgā jahāñ bhī rahūñ
pa.e ḳhabar qafas-e-rañg se sadā niklī
kahāñ se aa.ī havā is ujaaḌ manzar meñ
jo ghar se niklī to vo bhī shikasta-pā niklī
vo nīm-shab vo ruḳh-e-māhtāb-o-abr-e-siyah
shikastagī thī ki chashm-e-falak-numā niklī
vo mauj-e-mai thī jo chamkā ga.ī udāsī ko
kisī kī ḳhanda-labī bu-e-āshnā niklī
hayā ke saath taqāzā-e-qahr-o-mahar bhī hai
tirī nazar se tabī.at mirī judā niklī
Top Urdushayar.com