siine pe kitne daaġh liye phir rahā huuñ maiñ
zaḳhmoñ kā ek baaġh liye phir rahā huuñ maiñ
Dar hai ki tīrgī meñ qadam Dagmagā na jaa.e
ik shahr-e-be-charāġh liye phir rahā huuñ maiñ
saaqī na pūchh aaj ke shīsha-garoñ kā haal
TuuTā huā ayāġh liye phir rahā huuñ maiñ
kyā jaane kis ke naam hai ye nāma-e-karam
miltā nahīñ surāġh liye phir rahā huuñ maiñ
pūchhe na jis ko haal na mustaqbil-e-hasīñ
maazī kā vo dimāġh liye phir rahā huuñ maiñ
'nayyar' ho aaise daur meñ kyā raushnī kī baat
bin tel kā charāġh liye phir rahā huuñ maiñ