gardish-e-āb-o-havā jāntī hai
dil hai kyuuñ dil se judā jāntī hai
saañs lenā hai fanā ho jaanā
raaz ye barg-e-hinā jāntī hai
kaise raushan hai is āñdhī meñ charāġh
saarī tafsīl havā jāntī hai
yuuñ dabe paañv chalī bād-e-nasīm
jaise ādāb-e-hayā jāntī hai
rū-e-ġhuncha pe damak hai kis kī
shabnam-e-ābla-pā jāntī hai
farsh-e-rah ban ke bikhar jaatī hai
bū-e-gul dard-e-sabā jāntī hai
haiñ abas kunj-e-nahufta meñ tuyūr
rāsta barq-e-fanā jāntī hai