Syed Amin Ashraf

bagh-o-bustan hue viran ki ji jaanta hai

Syed Amin Ashraf

1931
bāġh-o-bustāñ hue vīrān ki jī jāntā hai
sar-e-duniyā hai vo tūfān ki jī jāntā hai
aur kyā us ke sivā hāsil rūdād-e-jahāñ
ḳhāk-o-ḳhūñ dast-o-garebān ki jī jāntā hai
roz-e-mahshar to na thā shām-e-mulāqāt thī vo
yuuñ hue be-sar-o-sāmān ki jī jāntā hai
māh-timsāl thā yā ḳhanjar-e-uryāñ koī
yuuñ hai paivast-e-rag-e-jān ki jī jāntā hai
dard hotā to sar-e-shām sambhal bhī jaatā
dil hai vo lashkar-e-armān ki jī jāntā hai
be-sukūnī kī talab hai nasha-e-qulzum-e-jāñ
aab hai tishna-e-haijān ki jī jāntā hai
tai kahāñ hotī hai rāh-e-safar-e-nā-ma.alūm
ġham hai yuuñ dīda-e-hairān ki jī jāntā hai
Top Urdushayar.com