laraz rahā thā falak arz-e-hāl aisā thā
shikastagī meñ zamīñ kā savāl aisā thā
kamāl aisā ki hairat meñ charḳh-e-nīlī-fām
shajar uThā na sakā sar zavāl aisā thā
kisī vajūd kī koī ramaq na ho jaise
darāz silsila-e-māh-o-sāl aisā thā
khilā huā thā badan par jarāhatoñ kā chaman
ki zaḳhm phail gayā indimāl aisā thā
kabhī ye taḳht-e-sulaimāñ kabhī sabā raftār
nasha chaḌhā to samand-e-ḳhayāl aisā thā
ghire hue the jo bādal baras ke tham bhī ga.e
bichhā huā thā jo tāroñ kā jaal aisā thā
kabhī vo shola-e-gul thā kabhī gul-e-shola
mizāj-e-husn meñ kuchh e'tidāl aisā thā
vo āñkheñ qahr meñ bhī kar ga.iiñ mujhe shādāb
faroġh-e-bāda meñ rañg-e-jamāl aisā thā
kisī se haath milāne meñ dil nahīñ miltā
talab meñ shā.iba-e-ehtimāl aisā thā