Syed Amin Ashraf

na jaane rauzan-e-diwar kya jadu jagata hai

Syed Amin Ashraf

1931
na jaane rauzan-e-dīvār kyā jaadū jagātā hai
talattuf se sambhaltā hai qadam yā Dagmagātā hai
ye tamhīd-e-nigāh-e-shauq hai do-ātisha ai dil
is aalam meñ ik aalam aur ā.īna dikhātā hai
kahāñ kā ishq lekin ye mujhe mahsūs hotā hai
ki merā haath dosh-e-nāznīñ par thartharātā hai
kahāñ pahle thā ye mausam hai sab tarz-e-ḳhirām us kā
havāoñ meñ gulābī baaġh meñ ḳhushbū uḌātā hai
mizājoñ kī ham-āhañgī bhī aksar shaaq hotī hai
ugaltī haiñ mashīneñ aag sūraj muskurātā hai
tuyūr-e-zamzama-pardāz kī pahchān hotī hai
vo taa.ir kyā jo āvāzoñ se āvāzeñ milātā hai
usī par jaan dete haiñ jise be-mehr kahte haiñ
jo ham ko bhuul jaatā hai vo aksar yaad aatā hai
Top Urdushayar.com