Nayyar Sultanpuri

dil hi to hai nigah-e-karam se pighal gaya

Nayyar Sultanpuri

Sultanpur, Uttar pradesh, India

1908-1935
dil hī to hai nigāh-e-karam se pighal gayā
shikva laboñ pe aa ke tabassum meñ Dhal gayā
pahuñchā na thā yaqīn kī manzil pe maiñ abhī
merā ḳhayāl mujh se bhī aage nikal gayā
ḳhalvat banī huī thī tirī anjuman magar
maiñ aa gayā to bazm kā naqsha badal gayā
vaañ mutma.in karam ki diyā hai ba-qadr-e-zarf
yaañ iztirāb-e-shauq meñ sāġhar badal gayā
hai chashm-e-iltifāt ko fikr-e-shikast-e-dil
shāyad harīf koī na.ī chaal chal gayā
pinhāñ thā laġhzishoñ meñ bhī ehsās-e-āgahī
maiñ kyā sambhal gayā ki zamāna sambhal gayā
ḳhīra hai bazm-e-yār meñ 'nayyar' nigāh-e-shauq
sham.eñ jalīñ ki dāman-e-nazzāra jal gayā
Top Urdushayar.com