shikva jo merā ashk meñ Dhaltā chalā gayā
saarā ġhubār dil kā nikaltā chalā gayā
raushan kiyā umiid ne yuuñ jāda-e-hayāt
har gaam pe charāġh sā jaltā chalā gayā
raas aa sakī sukūñ ko nā tadbīr-e-zabt-e-ġham
ā.ankhoñ se ḳhuun dil kā ubaltā chalā gayā
jis par mire fareb-e-tamannā ko naaz thā
vo din bhī intizār meñ Dhaltā chalā gayā
pichhle pahar jo sham.a ne khīñchī ik āh-e-sard
chehre kā un ke rañg badaltā chalā gayā
baḌhne lagī yaqīn o gumāñ meñ jo kashmakash
va.ada bhī sub.h o shaam pe Taltā chalā gayā
vo nauha-e-alam ho ki 'nayyar' navā-e-shauq
har naġhma ek saaz meñ Dhaltā chalā gayā