Brahma Nand Jalees

zau-bar isi samt hue shams-o-qamar bhi

Brahma Nand Jalees

Rohtak, Haryana, India

1930
zau-bār isī samt hue shams-o-qamar bhī
us shoḳh ne pherā ruḳh-e-pur-nūr jidhar bhī
miTtī hai kahīñ dil se shab-e-ġham kī siyāhī
hotī hai kahīñ hijr ke māroñ kī sahar bhī
haiñ donoñ jahāñ ek hī tanvīr ke partav
hai ek hī jalva jo idhar bhī hai udhar bhī
niklī thī tire jalva-e-rañgīñ kī ḳhabar ko
gum ho ke vahīñ rah ga.ī kambaḳht nazar bhī
hotī hī nahīñ sub.h nikhartā hī nahīñ nuur
hai Duubī huī shab kī siyāhī meñ sahar bhī
kuchh un kī hasīñ yaad kī sham.eñ thiiñ farozāñ
kuchh nūr-fishāñ dil meñ rahā dāġh-e-jigar bhī
samjheñ na 'jalīs' aap hameñ hech ki ham meñ
haiñ aib hazāroñ to hazāroñ haiñ hunar bhī
Top Urdushayar.com