ai 'jalīs' ab ik tumhīñ meñ ādamiyat ho to ho
ibn-e-ādam ho yahī jin-e-virāsat ho to ho
rah ga.ī tanhā ye ashk-afshāñ hamāre haal par
ġham-gusārī apnī bhī ik sham-e-turbat ho to ho
ātish-e-ġham ne jalā kar ḳhaak kar Daalā use
dil kahāñ siine meñ ab ik dāġh-e-hasrat ho to ho
kārvān-e-zindagī kā lag rahā hai chal chalāo
har-nafas ham ko sadā-e-kos-e-rehlat ho to ho
dard-mandoñ kā yahāñ koī nahīñ pursān-e-hāl
ai ajal in bekasoñ par terī rahmat ho to ho
gardish-e-daurāñ muḳhālif hai na hai dushman falak
barsar-e-paikār mujh se merī qismat ho to ho
aadmī vo hai jise pās-e-mohabbat ho 'jalīs'
aur ye shai aadmī meñ ādamiyat ho to ho