hotī nahīñ rasā.ī-e-barq-e-tapāñ kahāñ
ai ham-nashīñ banā.iye ab āshiyāñ kahāñ
Thahre misāl terī gul-e-arġhavāñ kahāñ
ai mah-jabīñ zamīn kahāñ āsmāñ kahāñ
chhānā kiyā maiñ ḳhāk-e-do-ālam tamām umr
apnī talāsh le ga.ī mujh ko kahāñ kahāñ
chhuTtā hujūm-e-ġham se mirā saath kis tarah
jaatā bichhaḌ ke mujh se mirā kārvāñ kahāñ
mahdūd jin kī dair-o-haram tak thī justujū
hotā nasīb un ko tirā āstāñ kahāñ
har manzil-e-hayāt kī had paar ho chukī
le jā.egī ab aur ai umr-e-ravāñ kahāñ
sayyād ne bhī mujh ko rihā kar diyā 'jalīs'
qismat meñ ab qafas bhī nahīñ āshiyāñ kahāñ