masarrat ko masarrat ġham ko jo bas ġham samajhte haiñ
vo nādāñ zindagī kā raaz aksar kam samajhte haiñ
haqīqat meñ vahī rāz-e-haqīqat se haiñ nā-vāqif
jinheñ da.avā hai ye rāz-e-haqīqat ham samajhte haiñ
nahīñ hājat hameñ ai chārasāzo chāra-sāzī kī
ham apne dard hī ko dard kā marham samajhte haiñ
hamārī sāda-lauhī us se baḌh kar aur kyā hogī
ki ham nā-āshnā ko āshnā-e-ġham samajhte haiñ
ye kaisā raaz hai un ke hamāre darmiyāñ yārab
na jis ko vo samajhte haiñ na jis ko ham samajhte haiñ
maiñ un ke rañj ke qurbāñ maiñ un ke dard ke sadqe
jo har insān ke ġham ko ḳhud apnā ġham samajhte haiñ
samajhte haiñ 'jalīs' ab aap to aalam ko begāna
magar ham aap ko be-gāna-e-ālam samajhte haiñ