Brahma Nand Jalees

dastan-e-shama thi ya qissa-e-parwana tha

Brahma Nand Jalees

Rohtak, Haryana, India

1930
dastān-e-sham.a thī yā qissa-e-parvāna thā
anjuman meñ ishq hī unvān har afsāna thā
justajū-e-dair-o-ka.aba se huā zāhir yahī
maiñ haqīqat meñ ḳhud apnī zaat se begāna thā
merī hastī thī ba-zāt-e-ḳhud mukammal mai-kada
maiñ kabhī shīsha kabhī sāġhar kabhī paimāna thā
haa.e vo ayyām-e-tiflī haa.e vo ahd-e-shabāb
ḳhvāb thā jo kuchh ki dekhā jo sunā afsāna thā
bad-gumānī se huā apne parā.e kā gumāñ
varna apnā thā na duniyā meñ koī begāna thā
chashm-e-bīnā hī na thī terī vagarna ai kalīm
zarre zarre meñ zuhūr-e-jalva-e-jānāna thā
mahfil-e-hastī meñ dekhā hai yahī ham ne 'jalīs'
jis ko jitnā hosh thā utnā hī vo dīvāna thā
Top Urdushayar.com