yahī samjhā huuñ bas itnī huī hai āgahī mujh ko
na raas aa.egī shāyad zindagī-bhar zindagī mujh ko
milā rañj-o-alam meñ bhī surūr-e-zindagī mujh ko
nazar aatī hai aksar tīrgī meñ raushnī mujh ko
na ab ehsās-e-ranj-o-ġham na ehsās-e-ḳhushī mujh ko
ye kis markaz pe le aa.ī mirī dīvāngī mujh ko
chhalak aa.e haiñ aañsū jab bhī aa.ī hai hañsī mujh ko
sunātī hī rahī paiġhām-e-ġham merī ḳhushī mujh ko
na denā thā agar kuchh iḳhtiyār-e-zindagī mujh ko
to kyuuñ ai ḳhāliq-e-ālam banāyā aadmī mujh ko
siyah-baḳhtī huī hai saya-afgan is qadar mujh par
nazar aatī hai har-sū tīrgī hī tīrgī mujh ko
'jalīs' ehsān kyā kam hai ye merī bad-nasībī kā
tamīz apne parā.e kī to āḳhir ho ga.ī mujh ko