Brahma Nand Jalees

tujhse tasawwuraat mein ai jaan-e-arzu

Brahma Nand Jalees

Rohtak, Haryana, India

1930
tujh se tasavvurāt meñ ai jān-e-ārzū
bāñdhe haiñ ham ne saiñkaḌoñ paimān-e-ārzū
ai rashk-e-nau-bahār tire intizār meñ
kyā kyā khilā.e ham ne gulistān-e-ārzū
phir dil meñ dāġh-hā-e-tamannā haiñ zau-fishāñ
phir kar rahā huuñ jashn-e-charāġhān-e-ārzū
dekhe koī ye rabt ki marne ke ba.ad bhī
chhūTā na dast-e-shauq se dāmān-e-ārzū
ab dekhiye guzartī hai kyā us kī jaan par
ik dil hai aur saiñkaḌoñ tūfān-e-ārzū
terā ḳhayāl tere nazāre tirā jamāl
kitne charāġh haiñ tah-dāmān-e-ārzū
samjho na ham ko be-sar-o-sāmāñ ki ham 'jalīs'
rakhte haiñ dil meñ ganj-e-farāvān-e-ārzū
Top Urdushayar.com