pūchhte haiñ bazm meñ sun kar vo afsāna mirā
aap haiñ kahtī hai duniyā jis ko dīvāna mirā
bas yahī hai muḳhtasar tashrīh husn-o-ishq kī
vo tumhārī dāstāñ hai ye hai afsāna mirā
haiñ tasavvur meñ tire jalve tirī ra.anā.iyāñ
raunaq-e-sad-anjuman hai aaj vīrāna mirā
ḳhud mire aañsū hī us ke haq meñ sho.ale ban ga.e
barq-o-bārāñ se to thā mahfūz kāshāna mirā
khil rahā hai mere chehre se mirā ahvāl-e-ġham
kah rahī hai merī ḳhāmoshī hī afsāna mirā
maiñ nahīñ qaa.il kisī taqlīd kā ai rahbaro
har qadam uThtā hai manzil meñ harīfāna mirā
maujzan hai ḳhūn-e-dil ab chashm-e-tar meñ ai 'jalīs'
bāda-e-gul-gūñ se hai labrez paimāna mirā