Ameen Rahat Chugtai

kisi makan ke dariche ko wa to hona tha

Ameen Rahat Chugtai

1930
kisī makāñ ke darīche ko vā to honā thā
mujhe kisī na kisī din sadā to honā thā
jise ḳhamīda saroñ se mile qad-o-qāmat
use kisī na kisī din ḳhudā to honā thā
maiñ jāntā thā jabīnoñ pe bal paḌeñge magar
qalam kā qarz thā āḳhir adā to honā thā
ye kyā zarūr pata pūchhte phireñ us kā
milā hī yuuñ thā vo jaise judā to honā thā
vo pichhlī raat kī ḳhushbū rachī rachī sī fazā
sahar qarīb thī vaqf-e-duā to honā thā
ham ek jaañ hī sahī dil to apne apne the
kahīñ kahīñ se fasāna judā to honā thā
maiñ aa.ina thā chhupātā kisī ko kyā rāhat
vo dekhtā mujhe jab bhī ḳhafā to honā thā
Top Urdushayar.com