Ameen Rahat Chugtai

mere badan se kabhi aanch is tarah aae

Ameen Rahat Chugtai

1930
mire badan se kabhī aañch is tarah aa.e
lipaT ke mujh se mire saath vo bhī jal jaa.e
maiñ aag huuñ to mire paas koī kyuuñ baiThe
maiñ raakh huuñ to koī kyuuñ kuredne aa.e
bhare dayār meñ ab is ko kis tarah DhūñDeñ
havā chale to kahīñ bū-ham-nafas aa.e
ye raat aur rivāyāt kī ye zanjīreñ
galī ke moḌ se do lauTte hue saa.e
vahī badan vahī chehra vahī libās magar
koī kahāñ se 'basāvan' kā mū-qalam laa.e
koī to baat huī hai ajiib sī 'rāhat'
ki aa.ina bhī na vo chhoḌe aur sharmā.e
Top Urdushayar.com