jo duhā.ī de rahā hai koī saudā.ī na ho
apne hī ghar meñ kisī ne aag dahkā.ī na ho
rāste meñ is se pahle kab thā itnā azhdahām
jo tamāsha ban rahā hai vo tamāshā.ī na ho
jo milā nazreñ churā kar chal diyā ab kyā kaheñ
shahr meñ rah kar kabhī itnī shanāsā.ī na ho
apnī hī āvāz par chauñke haiñ ham to baar baar
ai rafīqo bazm meñ itnī bhī tanhā.ī na ho
maiñ shuā-e-mahr kā maarā sahī lekin yahāñ
kaun hai yaaro jo is sūraj kā shaidā.ī na ho
guñg bhī haiñ dekh kar badle hue manzar yahāñ
aur aisā bhī nahīñ ham meñ ki goyā.ī na ho
maiñ to apnī zaat kā ik reza-e-gum-gashta huuñ
vo mujhe DhūñDegā kyā jo merā shaidā.ī na ho