jo mai-kade se bhī dāman bachā bachā ke chale
tirī galī se jo guzre to laḌkhaḌā ke chale
hameñ bhī qissa-e-dār-o-rasan se nisbat hai
faqīh-e-shahr se kah do nazar milā ke chale
koī to jaane ki guzrī hai dil pe kyā jab bhī
ḳhizāñ ke baaġh meñ jhoñke ḳhunuk havā ke chale
ab e'tirāf-e-jafā aur kis tarah hogā
ki terī bazm meñ qisse mirī vafā ke chale
hazār hoñT mile hoñ to kyā fasāna-e-dil
sunāne vaale nigāhoñ se bhī sunā ke chale
kahīñ surāġh-e-chaman mil hī jā.egā 'rāhat'
chalo udhar ko jidhar qāfile sabā ke chale