Ameen Rahat Chugtai

hamin the jaan-e-bahaaran hamin the rang-e-tarab

Ameen Rahat Chugtai

1930
hamīñ the jān-e-bahārāñ hamīñ the rañg-e-tarab
hamīñ haiñ bazm-e-mai-o-gul meñ aaj mohr-ba-lab
vahī tujhe bhī nazar aa.e be-adab jo log
faqīh-e-shahr se uljhe tirī galī ke sabab
ḳhayāl-o-fikr ke phir silsile sulag na uTheñ
ki chubh rahī hai diloñ meñ havā-e-gesū-e-shab
bas ek jaam ne rindoñ kī aabrū rakh lī
vagarna kam na thā vaa.iz kā shor-e-ġhaiz-o-ġhazab
chalo kalī ke tabassum kā raaz pūchh aa.eñ
guloñ ke qāfile chal deñ chaman se jaane kab
abhī se dhaḌkaneñ ḳhāmosh hotī jaatī haiñ
ajiib hogā samāñ vo bhī tum na aaoge jab
hameñ hī tāb-e-samā.at na ho sakī 'rāhat'
fasāna-ḳhvāñ ne to chheḌā thā zikr-e-ahd-e-tarab
Top Urdushayar.com