maiñ tirī dastaras se bahut duur thā
phir bhī nazdīk aane pe majbūr thā
aaj maiñ hī sazā-vār-e-jaur-o-sitam
kal tirī maañg kā maiñ hī sindūr thā
kaun aatā hai yuuñ zer-e-dām in dinoñ
raat tārīk thī āshiyāñ duur thā
kuchh ḳhulūs-e-vafā par bhī nādim thā maiñ
aur kuchh dil ke zaḳhmoñ se bhī chuur thā
aa.ina dekh kar yuuñ nadāmat huī
maiñ ki 'rāhat' huuñ ab pahle mansūr thā