jab koī bhī ḳhāqān sar-e-bām na hogā
phir ahl-e-zamīñ par koī ilzām na hogā
kal vo hameñ pahchān na paa.e sar-e-rāhe
shāyad unheñ ab ham se koī kaam na hogā
phir kaun samajh pā.egā asrār-e-haqīqat
jab faisla koī bhī sar-e-ām na hogā
ye ahd-e-ravāñ ḳhāk-nishāñ dhyān meñ rakkho
phir DhūñDoge kis ko jo koī naam na hogā
banñe ko hai ik roz parindoñ kā muqaddar
utreñge to ham-rañg-e-zamīñ daam na hogā
mahfil meñ agar zikr ho arbāb-e-vafā kā
aisā nahīñ 'rāhat' ki tirā naam na hogā