kyā batā.eñ kahāñ kahāñ the phuul
ḳhaak uḌtī hai ab jahāñ the phuul
bhīgī bhīgī sī dekh kar kaliyāñ
muskurā.e jahāñ jahāñ the phuul
dil meñ gulshan khilā ga.e kyā kyā
yuuñ to do din ke mehmāñ the phuul
jab ḳhizāñ aa.ī jaañ pe khel ga.e
mahram-e-jehd-e-be-karāñ the phuul
jis ne toḌā usī ko rañj huā
misl-e-paimāna-e-muġhāañ the phuul
din kī zulmat-nasīb bastī meñ
rāhgīroñ kī kahkashāñ the phuul