manzil-e-shams-o-qamar se guzre
jab tirī rāhguzar se guzre
shab kī gaatī huī tanhā.ī meñ
kitne tūfāñ the jo sar se guzre
vahīñ patjhaḌ ne paḌāv Daalā
qāfile gul ke jidhar se guzre
har taraf sabt haiñ qadmoñ ke nishāñ
koī kis rāhguzar se guzre
kis qadar ḳhud pe hameñ pyaar aayā
aaj jab apnī nazar se guzre
surḳhī-e-gul se bhī chauñke gul-ruḳh
vo zamāne bhī nazar se guzre
dasht-o-sahrā kā bhī dāman simTā
tere dīvāne jidhar se guzre
ḳhud-nigar ho ga.e 'rāhat' ham bhī
aaj vo kaash idhar se guzre