Ameen Rahat Chugtai

tirgi hi tirgi hai baam-o-dar mein kaun hai

Ameen Rahat Chugtai

1930
tīrgī hī tīrgī hai bām-o-dar meñ kaun hai
kuchh dikhā.ī de to batlā.eñ nazar meñ kaun hai
kyuuñ jalātā hai mujhe vo ātish-e-ehsās se
maiñ kahāñ huuñ ye mire dīvār-o-dar meñ kaun hai
zaat ke parde se bāhar aa ke bhī tanhā rahūñ
maiñ agar huuñ ajnabī to mere ghar meñ kaun hai
chaak kyuuñ hote haiñ pairāhan guloñ ke kuchh kaho
jhuk ke lahrātā huā shāḳh-e-samar meñ kaun hai
jaise koī pā gayā ho apnī manzil kā surāġh
dhuup meñ baiThā huā rāh-e-safar meñ kaun hai
kāñptā jā dekh kar iz.hār kī tajsīm ko
sochtā jā ārzū-e-shīsha-gar meñ kaun hai
bas zarā biphrī huī maujoñ kī ḳhū maa.il rahī
ahl-e-sāhil jānte to the bhañvar meñ kaun hai
shor kartā phir rahā huuñ ḳhushk pattoñ kī tarah
koī to pūchhe ki shahr-e-be-ḳhabar meñ kaun hai
maiñ to dīvāna huuñ ik sañg-e-malāmat hī sahī
lekin itnā soch lo shīshe ke ghar meñ kaun hai
Top Urdushayar.com