Ameen Rahat Chugtai

dekh koh-e-na-rasa ban kar bharam rakkha tera

Ameen Rahat Chugtai

1930
dekh koh-e-nā-rasā ban kar bharam rakkhā tirā
maiñ ki thā ik zarra-e-be-tāb ai sahrā tirā
kaun saaqī kaisā paimāna kahāñ sahbā-e-tez
aabrū yuuñ rah ga.ī hai sar meñ thā saudā tirā
sab girebāñ sī rahe haiñ sehn-e-gul meñ baiTh kar
kaun ab sahrā ko jaa.e, hai kahāñ charchā tirā
ab anāsir meñ tavāzun DhūñDne jaa.eñ kahāñ
ham jise hamrāz samjhe pāsbāñ niklā tirā
band darvāze kiye baiThe haiñ ab ahl-e-junūñ
taḳhtiyāñ nāmoñ kī paḌh kar kyā kare rusvā tirā
daad to ahl-e-muravvat de ga.e rāhat tujhe
sher bhī un ko nazar aayā koī achchhā tirā
Top Urdushayar.com