Ameen Rahat Chugtai

zindagi ek saza ho jaise

Ameen Rahat Chugtai

1930
zindagī ek sazā ho jaise
kisī gumbad kī sadā ho jaise
raat ke pichhle pahar dhyān tirā
koī saa.e meñ khaḌā ho jaise
aam ke peḌ pe koyal kī sadā
terā uslūb-e-vafā ho jaise
yuuñ bhaḌak uTThe haiñ sho.ale dil ke
apne dāman kī havā ho jaise
rah ga.e hoñT laraz kar apne
terī har baat bajā ho jaise
duur taktā rahā manzil kī taraf
rah-rav-e-ābla-pā ho jaise
yuuñ milā aaj vo 'rāhat' ham se
ek muddat se ḳhafā ho jaise
Top Urdushayar.com