koh-e-ġham itnā garāñ itnā garāñ hai ab ke
hai kahāñ tīsha-garāñ āh-e-garāñ hai ab ke
mai-kashoñ itnā na pī jaao ki ġham Duub jaa.e
phir na phaT jaa.e ye ātish jo fashāñ hai ab ke
tañg-dāmān ye duniyā-e-sitam zor-e-alam
baḌhtā jaa.e hai ravāñ aur davāñ hai ab ke
chashma-e-nāb na baḌh kar junūñ sailāb bane
bah na jaa.e ki ye miTTī kā makāñ hai ab ke
har taraf phailte baḌhte hue ye ziist ke haath
bahr-e-zulmāt meñ ek kūza-e-jāñ hai ab ke