apne mehvar se jab utar jā.ūñ
phuul kī tarah phir bikhar jā.ūñ
lauT phir aa.uuñ kaise mehvar par
koī batlāo kyā maiñ kar jā.ūñ
jaane kyā kah rahī hai duniyā ab
pahle kahtī thī kyuuñ na mar jā.ūñ
mujh se hargiz se na ho sakegā kabhī
ḳhud ko auroñ ke jaisā kar jā.ūñ
Duub jā.ūñ bhañvar ke saath kahīñ
lahar ke saath phir ubhar jā.ūñ
lauT aayā to huuñ maiñ mehvar par
ab ye ḳhvāhish hai phir bikhar jā.ūñ