qalb-o-jigar ke daaġh farozāñ kiye hue
haiñ ham bhī ehtimām-e-bahārāñ kiye hue
dīvāna-e-khirad ho ki majnūn-e-ishq ho
rahnā hai us ko chāk-garebāñ kiye hue
parde meñ shab ke ham ne chhupā.e haiñ dil ke zaḳhm
ik tīrgī hai dard kā darmāñ kiye hue
dil kā ajiib haal hai be-iḳhtiyār hai
yādoñ kī mezbānī kā sāmāñ kiye hue
rāz-e-hayāt kis ko batā.eñ ki har koī
hai zindagī ko maut kā unvāñ kiye hue
bhaTkā rahā hai dil ko kisī shaḳhs kā ḳhayāl
dil ko usī kī yaad pareshāñ kiye hue
kyā ho rahā hai dil pe asar un kā kyā kaheñ
jalve jo haiñ nigāh ko hairāñ kiye hue