shab zarā der se guzregī na ghabrā ai dil
sub.h ḳhud hogī numūdār Thahar jā ai dil
kho ga.ī gesū-e-jānāñ ki ghanī chhāñv kahāñ
har taraf dhuup kā taptā huā sahrā ai dil
kūcha-e-yār meñ aa.e the kin ummīdoñ se
luT ga.ī aa ke yahāñ shauq kī duniyā ai dil
kaisī shorish sī bapā hai kabhī chal kar dekheñ
qatl-gāhoñ meñ hai ye kaisā tamāshā ai dil
mausam-e-gul hai ye kaisā ki chaman hairāñ hai
har kalī phuul kā dil jaise ki merā ai dil
dushman-e-jāñ haiñ sabhī saare ke saare qātil
tū bhī is bhiiḌ meñ kuchh der Thahar jā ai dil