Fazlurrahman

KHarab-haal hun har haal mein KHarab raha

Fazlurrahman

Hyderabad, Sindh, Pakistan

1901
ḳharāb-hāl huuñ har haal meñ ḳharāb rahā
ḳhushī meñ bhī ġham-e-dil kā sā iztirāb rahā
nazāra-e-ruḳh-e-zebā kī yaañ kise fursat
naqāb ruḳh pe rahī yā vo be-naqāb rahā
tarab kī bazm meñ jā kar karegā kyā koī
na vo piyāla na vo mai na vo shabāb rahā
navā-e-shauq nikaltī hai ab bhī dil se magar
na vo upaj na vo mahfil na vo rabāb rahā
har ek chiiz kī duniyā meñ had muqarrar hai
magar ye rañj zamāna kā be-hisāb rahā
ḳhayāl-o-ḳhvāb masarrat kī ik tavaqqo.a par
tamām-umr mujhe intizār-e-ḳhvāb rahā
Top Urdushayar.com