Amir Usmani

dard baDhta gaya jitne darman kiye pyas baDhti gai jitne aansu piye

Amir Usmani

1920-1975
dard baḌhtā gayā jitne darmāñ kiye pyaas baḌhtī ga.ī jitne aañsū piye
aur jab dāman-e-zabt chhuTne lagā ham ne ḳhvāboñ ke jhūTe sahāre liye
ishq baḌhtā rahā sū-e-dār-o-rasan zaḳhm khātā huā muskurātā huā
rāsta rokte rokte thak ga.e zindagī ke badalte hue zāviye
gum huī jab andheroñ meñ rāh-e-vafā ham ne sham-e-junūñ se ujālā kiyā
jab na paa.ī koī shakl-e-baḳhiya-garī ham ne kāñToñ se zaḳhmoñ ke muñh sī liye
us ke vādoñ se itnā to sābit huā us ko thoḌā sā pās-e-ta.alluq to hai
ye alag baat hai vo hai vāda-shikan ye bhī kuchh kam nahīñ us ne vaade kiye
ḳhatm hone ko hai qissa-e-zindagī ab hameñ aap se koī shikva nahīñ
Tal na jaa.e kahīñ maut aa.ī huī pursish-e-ġham kī zahmat na farmā.iye
jab hijāboñ meñ pinhāñ thā husn-e-butāñ but-parastī kā bhī ek meyār thā
ab to har moḌ par but hī but jalvagar ab kahāñ tak butoñ ko ḳhudā māniye
kitne arbāb-e-himmat ne un ke liye baḌh ke maidān meñ jaan bhī haar dī
ab bhī un kī nigāhoñ meñ hai bad-zanī ab bhī un ko vafā kī sanad chāhiye
jis ne luuTā thā us ko salāmī milī ham luTe ham ko mulzim batāyā gayā
mast āñkhoñ pe ilzām aayā nahīñ ham pe lagtī rahīñ tohmateñ bin piye
jis ne 'āmir' matā-e-ḳhudī bech dī sach ye hai ismat-e-zindagī bech dī
sar jhukāne se behtar hai sar dījiye bhiik lene se behtar hai mar jā.iye
Top Urdushayar.com