Amir Usmani

dil pe wo waqt bhi kis darja giran hota hai

Amir Usmani

1920-1975
dil pe vo vaqt bhī kis darja girāñ hotā hai
zabt jab dāḳhil-e-fariyād-o-fuġhāñ hotā hai
kaise batlā.eñ ki vo dard kahāñ hotā hai
ḳhuun ban kar jo rag-o-pai meñ ravāñ hotā hai
ishq hī kab hai jo mānūs-e-zabāñ hotā hai
dard hī kab hai jo mohtāj-e-bayāñ hotā hai
jitnī jitnī sitam-e-yār se khātā hai shikast
dil javāñ aur javāñ aur javāñ hotā hai
vaah kyā chiiz hai ye shiddat-e-rabt-e-bāham
bār-hā ḳhud pe mujhe terā gumāñ hotā hai
kitnī pāmāl umañgoñ kā hai madfan mat pūchh
vo tabassum jo haqīqat meñ fuġhāñ hotā hai
ishq sar-tā-ba-qadam ātish-e-sozāñ hai magar
us meñ shola na sharāra na dhuāñ hotā hai
kyā ye insāf hai ai ḳhāliq-e-sub.h-e-gulshan
koī hañstā hai koī girya-kunāñ hotā hai
ġham kī baḌhtī huī yūrish se na ghabrā 'āmir'
ġham bhī ik manzil-e-rāhat kā nishāñ hotā hai
Top Urdushayar.com