haqīr ḳhaak ke zarre the āsmān hue
vo log jo dar-e-jānāñ ke pāsbān hue
shuda-shuda vahī gulshan ke hukmarān hue
jo ḳhaar pī ke guloñ kā lahū javān hue
ham aise ahl-e-junūñ par hañse na kyuuñ duniyā
ki sar kaTā ke samajhte haiñ kāmrān hue
ye kam nahīñ ki bujhā.ī hai pyaas kāñToñ kī
balā se rāh-e-vafā meñ lahūluhān hue
guloñ ne ābla-pā.ī kī koī daad na dī
chaman meñ ḳhaar hī chhāloñ ke mezbān hue
kiyā jo bhuul ke dil ne ḳhayāl-e-tark-e-vafā
ham apne aap se kyā kyā na bad-gumān hue