Amir Usmani

na sakat hai zabt-e-gham ki na majal-e-ashk-bari

Amir Usmani

1920-1975
na sakat hai zabt-e-ġham kī na majāl-e-ashk-bārī
ye ajiib kaifiyat hai na sukūñ na be-qarārī
tirā ek hī sitam hai tire har karam pe bhārī
ġham-e-do-jahāñ se de dī mujhe tū ne rustagārī
mirī zindagī kā hāsil tire ġham kī pāsdārī
tire ġham kī aabrū hai mujhe har ḳhushī se pyārī
ye qadam qadam balā.eñ ye savād-e-kū-e-jānāñ
vo yahīñ se lauT jaa.e jise zindagī ho pyārī
tire jāñ-navāz vaade mujhe kyā fareb dete
tire kaam aa ga.ī hai mirī zūd-e'tibārī
mirī raat muntazir hai kisī aur sub.h-e-nau kī
ye sahar tujhe mubārak jo hai zulmatoñ kī maarī
Top Urdushayar.com