Amir Usmani

gham-e-behad mein kis ko zabt ka maqdur hota hai

Amir Usmani

1920-1975
ġham-e-behad meñ kis ko zabt kā maqdūr hotā hai
chhalak jaatā hai paimāna agar bharpūr hotā hai
kabhī aisā bhī hotā hai ki dil ranjūr hotā hai
magar insān hañsne ke liye majbūr hotā hai
fazā-e-zindagī kī zulmatoñ ke marsiya-ḳhvāno
andheroñ hī ke dam se imtiyāz-e-nūr hotā hai
nahīñ ye marhala ai dost har bismil kī qismat meñ
bahut mushkil se koī zaḳhm-e-dil nāsūr hotā hai
ye sa.i-e-zabt-e-ġham āñkhoñ meñ aañsū rokne vaale
safīnoñ meñ kahīñ tūfān bhī mastūr hotā hai
Top Urdushayar.com