thī siyāhiyoñ kā maskan mirī zindagī kī vaadī
tire husn ke tasadduq mujhe raushnī dikhā dī
tirā ġham samā gayā hai mire dil kī dhaḌkanoñ meñ
koī aish jab bhī aayā mire dil ne bad-duā dī
jo zarā bhī niiñd aa.ī kabhī ahl-e-kārvāñ ko
vahī ban ga.e luTere jo bane hue the haadī
vo kabhī na ban sakī hai vo kabhī na ban sakegī
kisī dil kī jo imārat tirī be-ruḳhī ne Dhā dī
ye kabhī kabhī ināyat hai ba-manzil-e-siyāsat
ki jafā.eñ sahne vaalā kahīñ ho na jaa.e aadī
hameñ āḳhirat meñ 'āmir' vahī umr kaam aa.ī
jise kah rahī thī duniyā ġham-e-ishq meñ gañvā dī