Ummeed KHwaja

zahr mein bujhti hui bel hai diwar ke sath

Ummeed KHwaja

Naushahra, Punjab, Pakistan

zahr meñ bujhtī huī bel hai dīvār ke saath
jaise ik nā.ika baiThī ho gunahgār ke saath
mujh se milnā hai to ye qaid nahīñ mujh ko pasand
har mulāqāt muqayyad rahe itvār ke saath
ek hī vaar meñ marne se kahīñ behtar hai
ek ik sar vo jo kaTtā rahe talvār ke saath
maiñ ne har-gām pe un logoñ ko marte dekhā
vo jo jiite rahe is daur meñ kirdār ke saath
ye jahāñ muflis-o-nādār kā hamdard ho kyuuñ
jis ke har kone pe tahrīr hai zardār ke saath
koī shā.ir mire marne kī ḳhabar laayā hai
ek sah-columnī surḳhī liye aḳhbār ke saath
jashn-e-ḳhūñ-nāb hai maqtal meñ muġhannī se kaho
koī ik raag nayā giit ho malhār ke saath
maiñ bhī is shahr-e-ḳhamoshāñ kā hī sākin huuñ 'umīd'
jis kī har lauh pe tahrīr hai āzār ke saath
Top Urdushayar.com