Ummeed KHwaja

tham zara waqt-e-ajal didar-e-jaan hone laga

Ummeed KHwaja

Naushahra, Punjab, Pakistan

tham zarā vaqt-e-ajal dīdār-e-jāñ hone lagā
āḳhirī hichkī pe koī mehrbāñ hone lagā
kis sitamgar ne uḌā lī yād-e-māzī kī bayāz
har galī har moḌ par qissa bayāñ hone lagā
jaane kis gul ne chaman kī hurmateñ pāmāl kiiñ
mausam-e-fasl-e-bahārāñ bhī ḳhizāñ hone lagā
dafn kar ke qabr meñ jab jā chuke ahbāb dost
jo kabhī sochā na thā vo imtihāñ hone lagā
dast-o-pā shal ho ga.e haiñ quvvateñ zaa.il huiiñ
zindagānī kā safar aage ravāñ hone lagā
ḳhvāhishoñ kī chaah meñ ḳhusrān ke saude kiye
manfa.at samjhā jise āḳhir ziyāñ hone lagā
koī va.ada aaj tak iifā nahīñ tum ne kiyā
baat sachchī thī magar vo bad-gumāñ hone lagā
paañv kī aahaT ne mujh ko gor meñ chauñkā diyā
hichkiyoñ kā saaz dil kā tarjumāñ hone lagā
kaisī ḳhush-fahmī tumheñ kis baat kā ġharra 'umīd'
aa ga.e haiñ aqrabā vaqt-e-azāñ hone lagā
Top Urdushayar.com