har samt shor-e-banda o sāhib hai shahr meñ
kyā ahd-e-talḳh hifz-e-marātib hai shahr meñ
har nā-ravā ravā hai ba-īñ nām-e-maslahat
ik kār-e-ishq ġhair-munāsib hai shahr meñ
kis husn-e-pur-tajallī kī har chiiz hai asiir
haibat ye kis ke hukm kī ġhālib hai shahr meñ
ik ḳhauf-e-dushmanī jo ta.āqub meñ sab ke hai
ik harf-e-lutf jo kahīñ ġhā.eb hai shahr meñ
maiñ tanhā biinā shaḳhs huuñ amboh-e-ḳhalq meñ
sab ā.inoñ kā ruḳh mirī jānib hai shahr meñ
is ḳhāk-e-murdā par kise āvāz deñ 'zafar'
hijrat ham aise logoñ pe vājib hai shahr meñ