tū ne kyuuñ ham se tavaqqo na musāfir rakkhī
ham ne to jaañ bhī tire vāste hāzir rakkhī
haañ ab us samt nahīñ jaanā par ai dil ai dil
baam par us ne koī sham.a agar phir rakkhī
ye alag baat ki vo dil se kisī aur kā thā
baat to us ne hamārī bhī ba-zāhir rakkhī
ab kisī ḳhvāb kī zanjīr nahīñ paañv meñ
taaq par vasl kī ummīd bhī āḳhir rakkhī
jab bhī jī chāhtā marne ko hazāroñ the javāz
zindagī ham ne salāmat tirī ḳhātir rakkhī
hijr kī shab koī va.ada na koī yaad 'zafar'
tū ne kyā chiiz bachā kar mire shā.er rakkhī