Zafar Ajmi

aa ke jab KHwab tumhaare ne kaha bismillah

Zafar Ajmi

Faisalabad, Punjab, Pakistan

1966
aa ke jab ḳhvāb tumhāre ne kahā bismillāh
dil musāfir thake-hāre ne kahā bismillāh
hijr kī raat meñ jab dard ke bistar pe girā
shab ke bahte hue dhāre ne kahā bismillāh
shaam kā vaqt thā aur naav thī sāhil ke qarīb
paañv chhūte hī kināre ne kahā bismillāh
ajnabī shahr meñ thā pahlā paḌāv merā
baam se jhuk ke sitāre ne kahā bismillāh
maut sī sardī thī jab raakh meñ Daalā thā haath
ek nanhe se sharāre ne kahā bismillāh
laḌkhaḌā.e jo zarā paañv to ik shor huā
qāfile saare ke saare ne kahā bismillāh
nā-ḳhudā chhoḌ ga.e biich bhañvar meñ to 'zafar'
ek tinke ke sahāre ne kahā bismillāh
Top Urdushayar.com