ye ahd kyā hai ki sab par girāñ guzartā hai
ye kyā tilism hai kyā imtihāñ guzartā hai
vo qaht-e-lutf hai har-dam tire faqīroñ par
hazār vasvasa ātish-ba-jāñ guzartā hai
jo ḳhaak ho ga.e tere firāq meñ un kā
ḳhayāl bhī kabhī ai jān-e-jāñ guzartā hai
jab us kī bazm se chal hī paḌe to sochnā kyā
ki arsa-e-ġham-e-hijrāñ kahāñ guzartā hai
kabhī vo chehra-e-mānūs bhī dikhā.ī de
galī se roz nayā kārvāñ guzartā hai
'zafar' basant bhī hai aur bahār kī rut bhī
falak pe taḳhta-e-gul kā gumāñ guzartā hai