ḳhushā ai zaḳhm ki sūrat na.ī nikaltī hai
bajā.e ḳhuun ke ab raushnī nikaltī hai
nigāh-e-lutf ho is dil pe bhī o-shīsha-ba-dast
is aa.ine se bhī sūrat tirī nikaltī hai
mire harīf haiñ masrūf harf-sāzī meñ
yahāñ to saut-e-yaqīñ aap hī nikaltī hai
zubāñ-burīdā shikastā-badan sahī phir bhī
khaḌe hue haiñ aur āvāz bhī nikaltī hai
tamām shahr hai ik mīThe bol kā saa.il
hamārī jeb se haañ ye ḳhushī nikaltī hai
ik aisā vaqt bhī sair-e-chaman meñ dekhā hai
kalī ke siine se jab be-kalī nikaltī hai
kisī ke rāste kī ḳhaak meñ paḌe haiñ 'zafar'
mata.a-e-umr yahī ājizī nikaltī hai