parvāz kā thā shauq mujhe āsmān tak
bijlī girī to jal ga.e khetoñ ke dhaan tak
kachche gharoñ ke gaañv meñ barsāt rah ga.ī
pakkī saḌak banī bhī to pakke makān tak
kaise batā.ūñ tum ko olympic meñ kyā huā
merī to apnī dauḌ hai ghar se dukān tak
parvardigār mere gunāhoñ ko baḳhsh de
mujh ko sunā.ī detī nahīñ ab azaan tak
bachche ne ko.elā jo churāyā sazā milī
un kī sunāo bech ga.e jo khadān tak
aayā vo muskurā ke mirā zaḳhm le gayā
ik shaḳhs jis pe maiñ ne diyā thā na dhyān tak
fasloñ kā ḳhvāb bhuuk kī āñkhoñ meñ rah gayā
gaañv ke khet khā ga.e lekin kisān tak
ik laḌkī apne apne aap meñ ghuT ghuT ke mar ga.ī
ghar tak ḳhabar ga.ī na kabhī ḳhāndān tak
is baar bāl-o-par hī na kaaTe ga.e faqat
qaiñchī kutar ga.ī hai mirā āsmān tak
ghar ghar meñ jhāñktī hai yahāñ tīsrī nazar
rahtī hai koī baat kahāñ darmiyān tak
'sāgar' ye faisla bhī koī faisla huā
jis meñ liyā gayā na ho merā bayān tak